ishq-e-ruKH-o-zulf mein kiya kuch
shab aa ke raha sahar kiya kuch
KHayyat-e-nafas ka hai baja kuch
darzi ka hai kya maqam kya kuch
jab mauj-e-rawan kahin na Thahri
dam le ke habab kar gaya kuch
har-dam hai rawa na umr-e-insan
har ek nafas hai kar raha kuch
parwana jala to shama boli
tera hai udhar idhar mera kuch
wo sozan-e-saat-e-rawan hun
karti hai jo har minute sada kuch
ghunghru dam-e-naza bolta hai
aawaz jaras ne di hua kuch
hum sath the pa-shikasta jis ke
lashkar wo jahan se kar gaya kuch
shab-bhar hai farogh-e-shoala ai 'shad'
hangam-e-sahar hai shama ka kuch
Ghazal
Ishq-e-ruKH-o-zulf mein kiya kuch
Shad Lakhnavi