ishq-e-jaan-e-jahan nasib hua
ek zamana mera raqib hua
mar gae hum masih ke dam mein
ye bhi ek waqia ajib hua
un se kah do ki aap par aashiq
bekas-o-be-watan gharib hua
na sune nale kya kisi gul ne
tujh ko kya ranj andalib hua
pas aadab-e-husn-e-yar raha
ishq mere liye adib hua
jab nakirain ne sawal kiye
ya-ali kah ke main mujib hua
mera sar hoga aur un ke panw
yawar apna agar nasib hua
jab hua qabr mein sawal ai 'mehr'
ya-ali kah ke main mujib hua
Ghazal
Ishq-e-jaan-e-jahan nasib hua
Hatim Ali Mehr