ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na puchhiye
naguftani hai haal mera kuchh na puchhiye
kya dard-e-ishq ka hai maza kuchh na puchhiye
kahta hai dil kisi se dawa kuchh na puchhiye
mahshar ke daghdaghe ka main ahwal kya kahun
hangama jo hua so hua kuchh na puchhiye
jab puchhiye to puchhiye kya guzri ishq mein
hum se to aur us ke siwa kuchh na puchhiye
kya kya ye sabz bagh dikhati hai naza mein
dam de rahi hai jo jo qaza kuchh na puchhiye
puchha jo hum ne gor-e-ghariban ka ja ke haal
aai ye turbaton se sada kuchh na puchhiye
qismat se paiye jo kabhi us ko KHush-mizaj
kya kuchh na kahiye yar se kya kuchh na puchhiye
ragDi hain eDiyan to hui hai ye mustajab
kis aajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye
chhoDa jo murda jaan ke sayyaad ne mujhe
kyunkar uDa main ho ke riha kuchh na puchhiye
tarsa kiya main daulat-e-didar ke liye
qismat ne jo suluk kiya kuchh na puchhiye
ulfat ka nam le ke nazar-band ho gae
pai jo pyar kar ke saza kuchh na puchhiye
kya sarguzisht gor-e-ghariban ki main kahun
ahwal-e-bandagan-e-KHuda kuchh na puchhiye
KHushbu ne aap ki jo sar-afraaz use kiya
kis naz se chali hai saba kuchh na puchhiye
puchha 'sharaf' ke marne ka un se jo waqia
aankhon mein ashk bhar ke kaha kuchh na puchhiye
Ghazal
Ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na puchhiye
Agha Hajju Sharaf