ishq-e-butan ka le ke sahaara kabhi kabhi
apne KHuda ko hum ne pukara kabhi kabhi
aasuda-e-KHatir hi nahin matmah-e-wafa
gham bhi kiya hai hum ne gawara kabhi kabhi
is intiha-e-tark-e-mohabbat ke bawajud
hum ne liya hai nam tumhaara kabhi kabhi
tufan ka KHauf hai abhi shayad karishma-kar
aata hai samne jo kinara kabhi kabhi
tanha-rawi ne rakkhi hamare junun ki laj
go ahl-e-karwan ne pukara kabhi kabhi
ab kya kahen dil-e-mutalawwin-mizaj ko
aksar ye aap ka hai hamara kabhi kabhi
paiham sitam se ishq ki taskin ho na jae
ai dost iltifat KHuda-ra kabhi kabhi
fariyaad-e-gham se 'arsh' sambhalta hai dil magar
lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi
Ghazal
Ishq-e-butan ka le ke sahaara kabhi kabhi
Arsh Malsiyani