اردو हिंदी
Ishq-e-but mein kufr ka mujhko adab karna paDa | Shaahi Shayari
ishq-e-but mein kufr ka mujhko adab karna paDa

Ghazal

Ishq-e-but mein kufr ka mujhko adab karna paDa

Akbar Allahabadi

;

ishq-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna paDa
jo barhaman ne kaha aaKHir wo sab karna paDa

sabr karna furqat-e-mahbub mein samjhe the sahl
khul gaya apni samajh ka haal jab karna paDa

tajrabe ne hubb-e-duniya se sikhaya ehtiraaz
pahle kahte the faqat munh se aur ab karna paDa

shaiKH ki majlis mein bhi muflis ki kuchh pursish nahin
din ki KHatir se duniya ko talab karna paDa

kya kahun be-KHud hua main kis nigah-e-mast se
aql ko bhi meri hasti ka adab karna paDa

iqtiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin
shaiKH-sahib ko bhi aaKHir kar-e-shab karna paDa

aalam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katman-e-raaz
ek shai ko dusri shai ka sabab karna paDa

sher ghairon ke use mutlaq nahin aae pasand
hazrat-e-'akbar' ko bil-aKHir talab karna paDa