ishq aur nang-e-arzu se aar
dil-e-KHuddar par KHuda ki mar
aur kya dekhna hai zauq-e-nazar
husn aur aaine se ho bezar
shikwa-e-jaur hai na shauq-e-karam
yun bhi aana tha ahl-e-dil ko qarar
shad ab kyun nahin dil-e-maghmum
husn ko KHud jafa se hai inkar
lutf aisa ki kuchh nahin taKHsis
jaise sab ke liye khula bazar
ek bol ek dam sauda naqd
aur na kuchh bhaw-taw ki takrar
sikka-e-kam-ayar dagh-e-jigar
puchh us ki nahin kahin zanhaar
sang-rezon ke dam uThte hain
para-e-dil hai muft bhi bekar
sard-mehri hai bich ki dallal
jis ka donon taraf se hai bewpar
rahan hai us ke nam jo kuchh hai
husn ka naz ishq ka pindar
gharaz is rabt se hue hain baham
ishq be-kaif o husn kam-azar
ganThte hain phaTe hue jazbaat
ho ke sayyad bane 'salim' chamar
Ghazal
Ishq aur nang-e-arzu se aar
Saleem Ahmed