ishq aur itna mohazzab chhoD kar diwana-pan
band upar se tale tak sherwani ke baTan
ishq ki diwangi waz-e-junun ke sath thi
chaak-e-dil bhi sil gaya jab se siya hai pairahan
dil ko muzhda ho ki wo bhi KHair se jati rahi
aah se pahle jo kuchh mahsus hoti thi dukhan
un ko jalwat ki hawas mahfil mein tanha kar gai
jo kabhi hote the apni zat se ek anjuman
shaKH-e-gul ban kar lachakte hain hawas ki bazm mein
ye wahi hain jin mein tha talwar ka sa bankpan
KHush-numa lafzon ki rishwat de ke raazi kijiye
ruh ki tauhin par aamada rahta hai badan
marg-e-shahr-e-arzu ka kar chuke matam 'salim'
aao in lashon ko ab lafzon ka pahnaen kafan
Ghazal
Ishq aur itna mohazzab chhoD kar diwana-pan
Saleem Ahmed