ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai
tu nahin hai to kisi KHwab ka kya karna hai
jab tera nam mere nam ke sath aaya nahin
harf ka lafz ka erab ka kya karna hai
ab samundar hai na par hain na shab-e-chaar-dahum
ab teri aankh ke mahtab ka kya karna hai
ek yahi chadar-e-hijran mujhe de kar us ne
kah ke ruKHsat kiya asbab ka kya karna hai
katranen ranj ki sanson mein girah Dalti hain
ab kisi resham-o-kim-KHwab ka kya karna hai
aasman chashm barabar bhi na tara koi
ab bata rauzan-e-KHush-tab ka kya karna hai

Ghazal
Ishq aur ishq ke aadab ka kya karna hai
Qayyum Tahir