ishq aur ishq-e-shoala-war ki aag
aag aur ulfat-e-bashar ki aag
jis ko kahte hain barq-e-alam-soz
hai wo kafir teri nazar ki aag
hae-re teri garmi-e-raftar
KHak tak bhi hai rahguzar ki aag
lo shab-e-wasl bhi tamam hui
aasman ko lagi sahar ki aag
ishq kya shai hai husn hai kya chiz
kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag
tur-e-sina bana diya dil ko
uf-re kafir teri nazar ki aag
haqq-taala bachae is se 'zahir'
qahr hai ulfat-e-bashar ki aag
Ghazal
Ishq aur ishq-e-shoala-war ki aag
Zaheer Dehlvi