ishq apna ajab tamasha hai
ek jahan hai ki hum ko takta hai
jaise be-man ke tifl ho ye dil
aaj kuchh is tarah se sahma hai
tujh ko pa kar bhi shad kab tha dil
tujh ko kho kar bhi hath malta hai
aao us des mein chalen jis ja
ishq tapta hai rup jalta hai
ek hi rup ke hayule hain
gah 'saifu' hai gah 'mira' hai
kitna nazuk hai aabgina-e-dil
ghuncha chaTke to aur dukhta hai
be-KHatar hai 'azim' har gham se
us pe aal-e-nabi ka saya hai
Ghazal
Ishq apna ajab tamasha hai
Azeem Qureshi