ishq ahd-e-bewafa mein be-nawa ho jaega
aankh istanbul sina qartaba ho jaega
raat lambi hai to baham guftugu karte raho
baat chal nikli to bahuton ka bhala ho jaega
in bhari galiyon mein phirta rah isi mein KHair hai
apne andar ja chhupa to lapata ho jaega
sar-burida lafz mujh se raat ye kahne lage
ab na bologe to kaghaz karbala ho jaega
wo meri aawaz ka qatil bhi hai maqtul bhi
us ka mera aaj-kal mein faisla ho jaega
phir KHudai ka kiya dawa kisi firaun ne
phir sar-e-darbar koi moajaza ho jaega
Ghazal
Ishq ahd-e-bewafa mein be-nawa ho jaega
Gulam Nabi Aawan