ishq ab meri jaan hai goya
jaan ab mehman hai goya
jis ko dekho wahi hai garm-e-talash
kahin us ka nishan hai goya
hai qayamat uThan zalim ki
wo abhi se jawan hai goya
mange jaenge tujh ko hum tujh se
munh mein jab tak zaban hai goya
ji bahalne ko log sunte hain
dard-e-dil dastan hai goya
dil mein kaise wo be-takalluf hain
un ka apna makan hai goya
hae us aalam-ashna ki nazar
har nazar mein jahan hai goya
achchhe-achchhon ko phans rakkha hai
zal-e-duniya jawan hai goya
is suKHan ka 'jalil' kya kahna
'mushafi' ki zaban hai goya
Ghazal
Ishq ab meri jaan hai goya
Jaleel Manikpuri