ishaare kya nigah-e-naz-e-dil-ruba ke chale
sitam ke tir chale nimche qaza ke chale
pukare kahti thi hasrat se nash aashiq ki
sanam kidhar ko hamein KHak mein mila ke chale
misal-e-mahi-e-be-ab maujen taDpa kin
habab phuT ke roe jo tum naha ke chale
maqam yun hua is kar-gah-e-duniya mein
ki jaise din ko musafir sara mein aa ke chale
kisi ka dil na kiya hum ne paemal kabhi
chale jo rah to chyunTi ko bhi bacha ke chale
mila jinhen unhen uftadgi se auj mila
unhin ne khai hai Thokar jo sar uTha ke chale
'anis' dam ka bharosa nahin Thahar jao
charagh le ke kahan samne hawa ke chale
Ghazal
Ishaare kya nigah-e-naz-e-dil-ruba ke chale
Meer Anees