اردو हिंदी
Ise tere gham ki KHabar na ho to har ek gham ko chhupae rakh | Shaahi Shayari
ise tere gham ki KHabar na ho to har ek gham ko chhupae rakh

Ghazal

Ise tere gham ki KHabar na ho to har ek gham ko chhupae rakh

Arshad Abdul Hamid

;

ise tere gham ki KHabar na ho to har ek gham ko chhupae rakh
wo hari ruton ka gulab hai use dhup rut se bachae rakh

wo jo ek bar chala gaya to kabhi palaT ke na aaega
use ruTh jaane se rok le ye dilon ka rabt banae rakh

yahi chahaton ka usul hai ki hatheliyon pe lahu saja
use yaad rakhne ki aarzu hai to apne dil ko bhulae rakh

koi shama hai ki jo bujh gai to nae sire se jala liya
ye charagh dil ka charagh hai use aandhiyon se bachae rakh