is zulf-e-jaan-guza kun sanam ki bala kaho
afi kaho siyah kaho azhdaha kaho
qatil-nigah kun puchhte kya ho ki kya kaho
KHanjar kaho kaTar kaho nimcha kaho
Tuk waste KHuda ke mera ijz ja kaho
bekas kaho gharib kaho KHak-e-pa kaho
aashiq ka dard-e-haal chhupana nahin durust
parghaT kaho pukar kaho barmala kaho
us tegh-zan nin dil kun diya hai mere KHitab
bismil kaho shahid kaho jaan-fida kaho
shah-e-najaf ke nam kun lun 'abru' sin sikh
hadi kaho imam kaho rahnuma kaho
Ghazal
Is zulf-e-jaan-guza kun sanam ki bala kaho
Abroo Shah Mubarak