is zamin o aasman par KHak Dal
kuchh nahin tera yahan par KHak Dal
naqsh hone ki teri surat hai aur
is wajud-e-be-nishan par KHak Dal
KHatm sab kuchh haar se hota nahin
uTh aur ehsas-e-ziyan par KHak Dal
dard jab samjhe tera wo be-zaban
aarzu-e-ham-zaban par KHak Dal
is makani qaid se bahar nikal
is zaman o la-zaman par KHak Dal
tu bharam hai aur na koi wahm hai
chhoD maya ke jahan par KHak Dal
in asatiri fazaon se nikal
is tilism-e-dastan par KHak Dal
is se pahle har yaqin ho gard gard
har qayas aur har guman par KHak Dal
Ghazal
Is zamin o aasman par KHak Dal
Suhail Akhtar