اردو हिंदी
Is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye | Shaahi Shayari
is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

Ghazal

Is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

Meerza Jawan Bakht Jahandar

;

is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye
guzre hum aur baat se gali hi dijiye

sabr aur din-o-dil to tum aage hi le chuke
baqi hai jaan hamari so ab ye bhi lijiye

dewe wo jam ghair kun yun mere samne
ye dekh kyunki KHun-e-dil apna na pijie

naseh ye kya hisab ki main jeb ko silaun
behtar hai aap munh ke tain apne si jiye

patthar bhi bilke dekh 'jahandar' ka ye haal
pyare kabhu to aap bhi is par pasijiye