is wahm ki intiha nahin hai
sab kuchh hai magar KHuda nahin hai
kya is ka suragh koi pae
jis chiz ki ibtida nahin hai
khulta hi nahin fareb-e-hasti
kuchh bhi nahin aur kya nahin hai
is tarah sitam wo kar rahe hain
jaise mera KHuda nahin hai
tum KHush ho to hai mujhe nadamat
har-chand meri KHata nahin hai
dekho to nigah-e-wapsin ko
is ek nazar mein kya nahin hai
duniya ka bharam na khol ai aah
ye raaz abhi khula nahin hai
har zarra hai shahid-e-tajalli
is husn ki intiha nahin hai
sargarm-e-talash rahne wale
tera bhi kahin pata nahin hai
umDa hai jo dil 'aziz' ro lo
aansu koi rokta nahin hai
Ghazal
Is wahm ki intiha nahin hai
Aziz Lakhnavi