is waste daman chaak kiya shayad ye junun kaam aa jae
diwana samajh kar hi un ke honTon pe mera nam aa jae
main KHush hun agar gulshan ke liye kuchh mera lahu kaam aa jae
lekin mujh ko Dar hai is ka gulchin pe na ilzam aa jae
ai kash hamari qismat mein aisi bhi koi sham aa jae
ek chand falak par nikla ho ek chand sar-e-baam aa jae
mai-KHana salamat rah jae is ki to kisi ko fikr nahin
mai-KHwar hain bas is KHwahish mein saqi pe kuchh ilzam aa jae
pine ka saliqa kuchh bhi nahin is par hai ye KHwahish rindon ki
jis jam pe haq hai saqi ka hathon mein wahi jam aa jae
is waste KHak-e-parwana par shama bahati hai aansu
mumkin hai wafa ke qisse mein us ka bhi kahin nam aa jae
afsana mukammal hai lekin afsane ka unwan kuchh bhi nahin
ai maut bas itni mohlat de un ka koi paigham aa jae
Ghazal
Is waste daman chaak kiya shayad ye junun kaam aa jae
Anwar Mirzapuri