اردو हिंदी
Is waste adam ki manzil ko DhunDte hain | Shaahi Shayari
is waste adam ki manzil ko DhunDte hain

Ghazal

Is waste adam ki manzil ko DhunDte hain

Nazm tabaa-tabaa.ii

;

is waste adam ki manzil ko DhunDte hain
muddat se doston ki mahfil ko DhunDte hain

ye dil ke par ho kar phir dil ko DhunDte hain
tir-e-nigah us ke bismil ko DhunDte hain

ek lahr mein na the hum kyun ai habab dekha
yun aankh band kar ke sahil ko DhunDte hain

tarz-e-karam ki shahid hain mewa-dar shaKHen
is tarah sar jhuka kar sail ko DhunDte hain

hai wasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun
mahmil mein baiThe hain aur mahmil ko DhunDte hain

tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho
manzil pe bhi pahunch kar manzil ko DhunDte hain

hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb mein bhi
madum ki hawas hai zail ko DhunDte hain

uThte hain walwale kuchh har bar dard ban kar
kya jaaniye jigar ko ya dil ko DhunDte hain

zaKHm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko
marta hun main ki ye kyun qatil ko DhunDte hain

ahl-e-hawas ki kashti yak baam o do hawa hai
dariya-e-ishq mein bhi sahil ko DhunDte hain

aaya jo rahm mujh par is mein bhi chaal hai kuchh
sine pe hath rakh kar ab dil ko DhunDte hain

karte hain kar-e-farhad aasan zamin mein bhi
mushkil-pasand hain hum mushkil ko DhunDte hain

ai KHizr pai-e-KHajista bahr-e-KHuda karam kar
bhaTke hue musafir manzil ko DhunDte hain

dil-KHwah tere ishwe dil-ju tere ishaare
wo dil TaTolte hain ye dil ko DhunDte hain

ai 'nazm' kya bataen hajj-o-tawaf apna
kabe mein bhi kisi ki mahmil ko DhunDte hain