is ujDe shahr ke aasar tak nahin pahunche
muarriKHin dil-e-zar tak nahin pahunche
tamam umr masafat mein kaT gai apni
magar hanuz dar-e-yar tak nahin pahunche
paTi paDi hain tahen soch ke samundar ki
kai guhar lab-e-izhaar tak nahin pahunche
kai tarashne ke darmiyan TuT gae
tamam sang to shahkar tak nahin pahunche
tamam gulshan-e-imkan nisar hai tujh par
magar wo phul jo mahkar tak nahin pahunche
hum apne ahd ke yusuf zarur hain lekin
kunen mein qaid hain bazar tak nahin pahunche
'amir' hum ne salibon ka intiKHab kiya
magar kabhi kisi darbar tak nahin pahunche

Ghazal
Is ujDe shahr ke aasar tak nahin pahunche
Raoof Ameer