is tawaqqoa pe khula rakkha gareban apna
jaane kab aan mile jaan-e-bahaaran apna
lamhe lamhe ki rifaqat thi kabhi wajh-e-nashat
mausam-e-hijr hua ab sar-o-saman apna
nit-nae KHwab dikhata hai ujalon ke liye
wo ki hai dushman-e-jaan dushman-e-iman apna
nikhat-e-gul hi nahin KHak bhi hai hum ko aziz
apna sahra hai chaman apna KHayaban apna
dekh leti hai jahan azm-o-yaqin ke paikar
ruKH badalti hai wahan gardish-e-dauran apna
ye to mana ki hui ishq mein ruswai bahut
ho gaya nam ghazal mein to numayan apna
us se bichhDe hain to mahsus hua hai 'nasir'
haal itna to na tha pahle pareshan apna
Ghazal
Is tawaqqoa pe khula rakkha gareban apna
Nasir Zaidi