اردو हिंदी
Is tawaqqo pe ki dekhun kabhi aate jate | Shaahi Shayari
is tawaqqo pe ki dekhun kabhi aate jate

Ghazal

Is tawaqqo pe ki dekhun kabhi aate jate

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

;

is tawaqqo pe ki dekhun kabhi aate jate
ghis gae panw rah-e-dost mein jate jate

fikr-e-dozaKH mein hamein rafa-maasi ki paDi
aag par daman-e-tar ko hain sukhate jate

ghair ka zor chale un pe aur un ka mujh par
kahte hain munh se ho kyun ral uDate jate

ghair ko le ke girani ki na Thahri hoti
apne darwaze se mujh ko na uThate jate

kyun nishan chhoD gae tez-rawan-e-rah-e-ishq
kaba-o-but-kada ko chahiye Dhate jate

aag se sabza kabhi aur kabhi naKHl se aag
hain har ek rang mein nairang dikhate jate

sabza ban jaenge aaKHir ko chaman ke sab sarw
sharm se teri zamin mein hain samate jate

mujh se bigDe hue un ko hui muddat 'nazim'
bich wale hain abhi baat banate jate