is tarah se tarjumani kar gaya
mere aashiqon ko wo pani kar gaya
us ne chehre se haTa Dala naqab
wo meri ghazal purani kar gaya
rakh gaya wo apne kapDe sukhne
dhup bhi kitni suhani kar gaya
bhul jaane ki qasam dena tera
yaad aane ki nishani kar gaya
do ghaDi ko pas aaya tha koi
dil pe barson hukmarani kar gaya
jis pe main iman le aaya 'asad'
mujh se wo hi be-imani kar gaya

Ghazal
Is tarah se tarjumani kar gaya
Subhan Asad