اردو हिंदी
Is tarah se kashti bhi koi par lage hai | Shaahi Shayari
is tarah se kashti bhi koi par lage hai

Ghazal

Is tarah se kashti bhi koi par lage hai

Wamiq Jaunpuri

;

is tarah se kashti bhi koi par lage hai
kaghaz ka bana hath mein patwar lage hai

aazad lage hai na giraftar lage hai
diwane ko dar aahani diwar lage hai

ek lash hai lekin baDi jaan-dar lage hai
shola si koi chiz sar-e-dar lage hai

pahchan lo us ko wahi qatil hai hamara
jis hath mein TuTi hui talwar lage hai

KHamosh giran-bar fazaon mein ghuTan si
ye to kisi tufan ki lalkar lage hai

ek waqt wo tha jab rasan-o-dar mein tha lutf
ab lutf bhi un ka rasan-o-dar lage hai

din chaDhne laga tezi se ghaTne lage sae
rahi koi hum ko pas-e-diwar lage hai

ek daera-e-fikr mein mahdud hai aalam
har pa-e-nazar surat-e-parkar lage hai

sunne mein to ghazlen bahut achchhi lagin 'wamiq'
qirtas pe ek aisi jo shahkar lage hai