is tarah ruKH pherte ho sunte hi bose ki baat
shah-e-mashuqan ke aage kya hai ye eti bisat
kyun na dauDe tab diwana ho ke majnun dasht kun
jab likhi ho aashiqan ki shaKH-e-ahu pe baraat
jhiljhilati hai mahin jame sin tere tan ki jot
mah ka KHirman hai ai KHurshid-ru tera yogat
sau girah thi dil mein mere KHosha-e-angur jun
ek pyale sin kiya saqi nen hall-e-mushkilat
kuchh kaho 'yakru' piya dar sin tere Talta nahin
bujhta hai ek ye ghar jaanta nahin panch sat
Ghazal
Is tarah ruKH pherte ho sunte hi bose ki baat
Abdul Wahab yakro