اردو हिंदी
Is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai | Shaahi Shayari
is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai

Ghazal

Is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai

Tripurari

;

is tarah rasm mohabbat ki ada hoti hai
aaj se teri meri rah juda hoti hai

main kisi aur hi duniya mein pahunch jata hun
jab bhi kanon mein azanon ki sada hoti hai

bad-dua koi agar de to bura mat mano
bad-dua bhi to meri jaan dua hoti hai

nind ke sath hi ek bab naya khulta hai
KHwab ke TuTne juDne ki katha hoti hai

jism ki wadiyon mein rah ke ye jaana main ne
jism ki pyas to ghanghor ghaTa hoti hai

main tujhe chhoD ke hargiz nahin jaane wala
ai meri jaan tu be-wajh KHafa hoti hai

do jawan dil jo mohabbat mein kabhi paD jaen
kya ye sach-much mein KHuda ki hi KHata hoti hai