is tarah phuT ke roya koi
be-kason ka nahin goya koi
shor se gunjte sannaTon ke
wa kare kya lab-e-goya koi
sang-dil jab bhi koi yaad aaya
lag ke diwar se roya koi
luT kar bhi koi bechain raha
luT ke bhi chain se soya koi
hashr-saman huin viran aankhen
phir kasi KHwab mein khoya koi
zist ka dasht saman-zar hua
bij kya dard ne boya koi
Ghazal
Is tarah phuT ke roya koi
Khalid Ahmad