اردو हिंदी
Is tarah paikar-e-wafa ho jaen | Shaahi Shayari
is tarah paikar-e-wafa ho jaen

Ghazal

Is tarah paikar-e-wafa ho jaen

Hazin Ludhianvi

;

is tarah paikar-e-wafa ho jaen
ek duje ka aasra ho jaen

aao mil baiTh kar hansen bolen
nahin malum kab juda ho jaen

dukh kisi ko ho hum taDap uTThen
is qadar dard-ashna ho jaen

KHushk dharti chaTaKH rahi ho jab
bhari barsat ki ghaTa ho jaen

shahar jamid hai log be-awaz
aise mahaul mein sada ho jaen

dushmanon ke liye banen sarsar
doston ke liye saba ho jaen

jo hamein dekhe dekh le KHud ko
sar-ba-sar sath-e-aina ho jaen

aag dil ki agar bhaDak uTThe
ye dhundalke sahar-numa ho jaen

rang-e-alam badal raha hai 'hazin'
nahin malum kya se kya ho jaen