is tarah pahunchega kaise paya-e-takmil ko
aaKHiri kahta hai kyun tabut ki har kil ko
KHud zarurat-mand hai rota hai KHud tarsil ko
chahiye paighambar apne liye jibril ko
kab se sota hai karo bedar mikhail ko
warna kafi kaam mil jaega izrail ko
tu ne go koi kasar chhoDi nahin rabb-e-karim
kaam ye karna paDega phir bhi israfil ko
shahr ke qanun din mein toDna aasan na tha
raat mein nikli hai duniya ilm ki tahsil ko

Ghazal
Is tarah pahunchega kaise paya-e-takmil ko
Shuja Khaavar