is tarah kar gaya dil ko mere viran koi
na tamanna koi baqi hai na arman koi
har kali mein hai tere husn-e-dil-ara ki numud
ab ke daman hi bachega na gireban koi
mai-chakan lab nazar aawara nigahen gustaKH
yun mere pahlu se uTha hai ghazal-KHwan koi
zulf barham hai dil aashufta saba aawara
KHwab-e-hasti sa nahin KHwab pareshan koi
naghma-e-dard se ho jata hai aalam mamur
is tarah chheDta hai tar-e-rag-e-jaan koi
Ghazal
Is tarah kar gaya dil ko mere viran koi
Chiragh Hasan Hasrat