is tarah kabhi randa-e-darbar nahin the
ruswa the magar yun sar-e-bazar nahin the
sahra mein liye phirti hai diwangi-e-shauq
kya shahr mein tere dar-o-diwar nahin the
wo din gae jab manzil-e-jaanan ke musafir
rahraw the faqat qafila-salar nahin the
hai jurat-e-guftar to phir samne aa kar
kah dijiye hum log wafadar nahin the
kyun hum hi khaTakte rahe duniya ki nazar mein
diwanon mein ek hum hi tarah-dar nahin the
dete hain duaen teri duzdida nazar ko
diwane kabhi itne to hushiyar nahin the
kyun mohr-ba-lab kucha-e-jaanan se guzarte
insan the hum saya-e-diwar nahin the
waraftagi-e-shauq bata tu hi ki hum se
aabaad kabhi kucha-o-bazar nahin the
Ghazal
Is tarah kabhi randa-e-darbar nahin the
Manzar Ayubi