is tarah duniya mein dil ko mahram-e-gham kijiye
jab KHushi koi mayassar ho to matam kijiye
ishq se phir silsila jumbani-e-gham kijiye
zindagi par maut ko pahle muqaddam kijiye
husn ki jaanib nigah-e-shauq ya kam kijiye
ya nigah-e-shauq ko ek ahd-e-mohkam kijiye
maut ka kya maut ka to sau tarah gham kijiye
zindagi nashad ka kis tarah matam kijiye
dekh kar ahl-e-tarab ka saz-o-saman-e-tarab
bad-nasibon ka zara andaza-e-gham kijiye
jaane kis aalam ki hasrat mein hain nazren muztarib
warna kya nazzara-e-husn-e-do-alam kijiye
ab junun ki sarhadon se aa mila hai josh-e-ishq
kuchh samajh kar ab nigah-e-husn barham kijiye
ahl-e-ishrat apni bazm-e-aish-o-ishrat ke qarib
ehtiyatan munaqid ek bazm-e-matam kijiye
aansuon ka ponchhne wala hi jab koi na ho
aah kis ummid par aankhon ko pur-nam kijiye
gham ko hone dijiye ho jis qadar manus dil
dil ko jitna ho sake begana-e-gham kijiye
phir qafas se lauT kar aae chaman mein phir wahi
aashiyan ke waste tinke faraham kijiye
hain nigahon ki hadon se dur abhi bebakiyan
shoKH chitwan se ghurur-e-husn ko kam kijiye
ta-kuja aawara-e-nazzara chashm-e-husn-e-dost
jama ek markaz pe kyun kar husn-e-alam kijiye
har KHushi ne is natije par hamein pahuncha diya
jab KHushi koi mayassar ho to matam kijiye
aarzu se baDh ke dushman koi insan ka nahin
jis qadar mumkin ho 'bismil' aarzu kam kijiye
Ghazal
Is tarah duniya mein dil ko mahram-e-gham kijiye
Bismil Saeedi