اردو हिंदी
Is tarah dard ka tum apne mudawa karna | Shaahi Shayari
is tarah dard ka tum apne mudawa karna

Ghazal

Is tarah dard ka tum apne mudawa karna

Habeeb Aarvi

;

is tarah dard ka tum apne mudawa karna
yaad-e-mazi ko charagh-e-rah-e-farda karna

teri duzdida-nigahi ke main sau bar nisar
dekhne wale isi chah se dekha karna

hashr tak jine ka arman liye baiTha hun
tum zara zist ke asbab muhayya karna

KHwahish-e-did ki tauhin hai jalwon ka KHayal
meri nazron ka taqaza hai ki parda karna

ek ehsan hai qudrat ki jafa-kari par
us ki duniya mein bhi jine ki tamanna karna

meri taskin ke liye phir koi wada kije
aap par farz nahin wade ka ifa karna

husn betab ho KHud wasl ki KHatir ai 'habib'
ishq ko chahiye andaz wo paida karna