اردو हिंदी
Is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye | Shaahi Shayari
is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye

Ghazal

Is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye

Haneef akhgar

;

is tarah ahd-e-tamanna ko guzare jaiye
un ko KHamoshi ke lahje mein pukare jaiye

ishq ka mansab nahin aawaza-e-lafz-o-bayan
aankhon hi aankhon mein har ek shikwa guzare jaiye

dekhiye ruswa na ho jae kahin rasm-e-junun
apne diwane ko ek patthar to mare jaiye

aaine pe jo guzarna ho guzar jae magar
aap yunhi zulf-e-barham ko sanware jaiye

jazba-e-dil ka taqaza hai ki bazi jit lun
ehtiyat-e-ishq kahti hai ki haare jaiye

ho sake to dil ki haalat KHud hi aa kar dekhiye
ghair ki suniye na kahne par hamare jaiye

kuchh to lutf-e-lams-e-aghosh-e-talatum chahiye
ta-kuja 'aKHgar' kinare hi kinare jaiye