is tarah aankhon ko nam dil par asar karte hue
ja raha hai kaun nezon par safar karte hue
zindagi faqon ke sae mein basar karte hue
ji raha hun KHun-e-dil KHun-e-jigar karte hue
likh raha hun nam bachchon ke ghamon ki jaidad
un ki subh-e-zindagi ko dopahar karte hue
itne wahshat-nak manzar putliyon mein bas gae
KHwab bhi Darne lage aankhon mein ghar karte hue
sina-e-mauj-e-rawan ko aablon se bhar diya
pyas ki shiddat ne pani par asar karte hue
waqt ki raftar se bhi tez chalna hai mujhe
ja raha hun ab hawa ko ham-safar karte hue
jaane kitni Thokaren khain hain main ne ai 'raza'
e'tidal-e-zindagi ko tez-tar karte hue
Ghazal
Is tarah aankhon ko nam dil par asar karte hue
Raza Mauranvi