is taraf se us taraf tak KHushk o tar pani mein hai
ab samundar se samundar tak nazar pani mein hai
meri aankhon mein idhar manzar hai apni maut ka
aur koi Dubne wala udhar pani mein hai
jaane kab mere samundar ko koi sahil mile
kab se mera jism sargarm-e-safar pani mein hai
kashti-e-anfas zer-e-ab bhi hai shola-bar
tah-ba-tah jaise koi mauj-e-sharar pani mein hai
jal gaya hota shua-e-mehr se ye shahr bhi
KHairiyat guzri ki KHwabon ka nagar pani mein hai
is bulandi se lagaun kis taraf ab main chhalang
ek dar hai dasht mein to ek dar pani mein hai
ho chuke hain kab ke chakna-chur aaine sabhi
ye to 'mohsin' apna hi aks-e-nazar pani mein hai
Ghazal
Is taraf se us taraf tak KHushk o tar pani mein hai
Mohsin Zaidi