is taraf se guzre the qafile bahaaron ke
aaj tak sulagte hain zaKHm rahguzaron ke
KHalwaton ke shaidai KHalwaton mein khulte hain
hum se puchh kar dekho raaz parda-daron ke
gesuon ki chhanw mein dil-nawaz chehre hain
ya hasin dhundlakon mein phul hain bahaaron ke
pahle hans ke milte hain phir nazar churaate hain
aashna-sifat hain log ajnabi dayaron ke
tum ne sirf chaha hai hum ne chhu ke dekhe hain
pairahan ghaTaon ke jism barq-paron ke
shughl-e-mai-parasti go jashn-e-na-muradi tha
yun bhi kaT gae kuchh din tere sogwaron ke
Ghazal
Is taraf se guzre the qafile bahaaron ke
Sahir Ludhianvi