is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai
ab bhi kuchh log hain zinda ki jahan baqi hai
ahl-e-sahra bhi baDhe aate hain shahron ki taraf
sans lene ko jahan sirf dhuan baqi hai
zindagi umr ke us moD pe pahunchi hai jahan
sud napaid hai ehsas-e-ziyan baqi hai
DhunDhti rahti hai har lamha nigah-e-dahshat
aur kis shahr-e-mohabbat mein aman baqi hai
main kabhi sud ka qail bhi nahin tha lekin
zindagi aur bata kitna ziyan baqi hai
mar kar bhi mere qatil ko tasalli na hui
main hua KHatm to kyun nam-o-nishan baqi hai
aisi KHushiyan to kitabon mein milengi shayad
KHatm ab ghar ka tasawwur hai makan baqi hai
lakh 'azar' rahen tajdid-e-ghazal se lipTe
aaj bhi 'mir' ka andaz-e-bayan baqi hai
Ghazal
Is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai
Faryad Aazar