is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya
dar wa kiya to kis liye saya bikhar gaya
ta-der apne sath raha main zamane baad
be-nam sa sukut tha jab raat ghar gaya
rakhta tha hukm maut ka jo rah-e-wasl mein
wo lamha-e-firaq mere Dar se mar gaya
sab raunaqen ba-zid thin jahan ghar banane ko
wo qarya-e-wajud KHalaon se bhar gaya
main bandh hi raha tha ghazal mein use abhi
wo zina-e-KHayal se niche utar gaya

Ghazal
Is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya
Shahram Sarmadi