is shola-KHu ki tarah bigaDta nahin koi
tezi se itni aag pakaDta nahin koi
wo chehra to chaman hai magar saneha ye hai
us shaKH-e-lab se phul hi jhaDta nahin koi
KHud ko baDha-chaDha ke batate hain yar log
haalanki is se farq to paDta nahin koi
logon ka kya hai aaj mile kal bichhaD gae
gham do ghaDi bhi mujh se bichhaDta nahin koi
majburi-e-hayat hai warna zamin par
KHush ho ke eDiyan to ragaDta nahin koi
jis tarah yaad chhoD gaya mere dil mein tu
is umdagi se lal bhi juDta nahin koi
kahte hain log dekh ke is haal mein mujhe
apne KHilaf jang to laDta nahin koi
'ruhi' tujhe bhi lag rahi hai zamane se
be-wajh to kisi se bigaDta nahin koi
Ghazal
Is shola-KHu ki tarah bigaDta nahin koi
Roohi Kanjahi