is shahr mein chalti hai hawa aur tarah ki
jurm aur tarah ke hain saza aur tarah ki
is bar to paimana uThaya bhi nahin tha
is bar thi rindon ki KHata aur tarah ki
hum aankhon mein aansu nahin late hain ki hum ne
pai hai wirasat mein ada aur tarah ki
is baat pe naraaz tha saqi ki sar-e-bazm
kyun aai piyalon se sada aur tarah ki
is daur mein mafhum-e-mohabbat hai tijarat
is daur mein hoti hai wafa aur tarah ki
shabnam ki jagah aag ki barish ho magar hum
'mansur' na mangenge dua aur tarah ki
Ghazal
Is shahr mein chalti hai hawa aur tarah ki
Mansoor Usmani