اردو हिंदी
Is shahr-e-nigaran ki kuchh baat nirali hai | Shaahi Shayari
is shahr-e-nigaran ki kuchh baat nirali hai

Ghazal

Is shahr-e-nigaran ki kuchh baat nirali hai

Divakar Rahi

;

is shahr-e-nigaran ki kuchh baat nirali hai
har hath mein daulat hai har aankh sawali hai

shayad gham-e-dauran ka mara koi aa jae
is waste saghar mein thoDi si bacha li hai

hum logon se ye duniya badli na gai lekin
hum ne nai duniya ki buniyaad to Dali hai

us aankh se tum KHud ko kis tarah chhupaoge
jo aankh pas-e-parda bhi dekhne wali hai

jab ghaur se dekhi hai taswir teri main ne
mahsus hua jaise ab bolne wali hai

duniya jise kahti hai be-rah-rawi 'rahi'
jine ke liye hum ne wo rah nikali hai