is se pahle nazar nahin aaya
is tarah chand ka ye haala mujhe
aadmi kis kamal ka hoga
jis ne taswir se nikala mujhe
main tujhe aankh bhar ke dekh sakun
itna kafi hai bas ujala mujhe
us ne manzar badal diya yaksar
chahiye tha zara sambhaala mujhe
aur kuchh yun hua ki bachchon ne
chhina jhapTi mein toD Dala mujhe
yaad hain aaj bhi 'rasa' wo hath
aur roTi ka wo niwala mujhe
Ghazal
Is se pahle nazar nahin aaya
Rasa Chughtai