is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen
hum sitaron ne ye socha hai ki hijrat kar jaen
daulat-e-KHwab hamare jo kisi kaam na aai
ab kisi ko nahin milne ki wasiyyat kar jaen
dahr se hum yun hi bekar chale jate the
phir ye socha ki chalo ek mohabbat kar jaen
ek zara waqt mayassar ho to aa kar mere dost
dil mein khilte hue phulon ko nasihat kar jaen
un hawa-KHwahon se kahna ki zara sham Dhale
aaen aur bazm-e-charaghan ki sadarat kar jaen
dil ki ek ek KHarabi ka sabab jaante hain
phir bhi mumkin hai ki hum tum se murawwat kar jaen
shahr ke baad to sahra tha miyan KHair hui
dasht ke par bhala kya hai ki wahshat kar jaen
reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn
sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen
Ghazal
Is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen
Idris Babar