is se pahle ki mujhe waqt alahida rakh de
mere honTon pe mere nam ka bosa rakh de
halq se ab to utarta nahin ashkon ka namak
ab kisi aur ki gardan pe ye duniya rakh de
raushni apni shabahat hi bhula de na kahin
apne suraj ke sirhane mera saya rakh de
tu kahan le ke phiregi meri taqdir ka bojh
meri palkon pe shab-e-hijr ye tara rakh de
mujh se le le mere qiston pe KHaride hue din
mere lamhe mein mera sara zamana rakh de
hum jo chalte hain to KHud banta chala jata hai
lakh miTTi mein chhupa kar koi rasta rakh de
hum ko aazadi mili bhi to kuchh aise 'nasik'
jaise kamre se koi sehn mein pinjra rakh de
Ghazal
Is se pahle ki mujhe waqt alahida rakh de
Nisar Nasik