is se pahle ki kisi ghaT utare jate
hum hi betab the hum muft mein mare jate
had idrak se aage thi tere qurb ki sham
DhunDne tujh ko kahan chand-sitare jate
tu ne KHud apni mohabbat ka bharam khol diya
warna hum pas-e-murawwat mein hi mare jate
tujh se mansub hue hain to ye hasrat hi rahi
hum kabhi apne hawale se pukare jate
saKHt pahra tha tere hashiya-bardaron ka
hum wahan kis ki sifarish ke sahaare jate
tu ne KHud halqa-e-amwaj se munh moD liya
dur tak warna tere sath kinare jate
mishalen gham ki farozan thin har ek ghar mein 'salim'
kis ki dahliz pe hum dard ke mare jate
Ghazal
Is se pahle ki kisi ghaT utare jate
Safdar Saleem Sial