is se pahle ki gham-e-kaun-o-makan ko samjho
ho sake gar to mere gham ki zaban ko samjho
lafz-o-mani se alag hai mere ehsas ka rang
ho sake tum se to andaz-e-bayan ko samjho
husn hai wahm-e-mohabbat bhi guman hai lekin
dil ye kahta hai ki har wahm-o-guman ko samjho
tum samajhte hi nahin rang-e-shikasta ki zaban
kaun kahta hai ki tum meri fughan ko samjho
hai gham-e-sud-o-ziyan fikr-o-nazar ki pasti
aagahi ye hai ki aashob-e-jahan ko samjho

Ghazal
Is se pahle ki gham-e-kaun-o-makan ko samjho
Khurshid-ul-islam