is samundar pe ek ilzam hi dhar jaana hai
pas sahil ke mujhe pyas se mar jaana hai
kyun dikhate ho shikasta se purane raste
mujh ko to ek nae sapnon ke nagar jaana hai
aaKHiri moD pe pahunchi hai kahani lekin
Dhal gai raat chalo luT ke ghar jaana hai
bich mein lafz the tarsil ki nakaami thi
main ne us ko mujhe us ne bhi digar jaana hai
itni aasan nahin shaeri 'adil'-sahab
lafz-o-mani ke samundar mein utar jaana hai
Ghazal
Is samundar pe ek ilzam hi dhar jaana hai
Razzaq Aadil