is sadi ka jab kabhi KHatm-e-safar dekhenge log
waqt ke chehre pe KHak-e-rahguzar dekhenge log
tuKHm-rezi kar raha hun main isi ummid par
phulte phalte hue kal ye shajar dekhenge log
aql-e-insani ki jis din intiha ho jaegi
KHatm hote chand suraj ka safar dekhenge log
kanch ki diwar patthar ke sutun lohe ki chhat
har jagah har shahr mein aisa hi ghar dekhenge log
jurat-e-parwaz ke anjam se waqif hun main
KHun mein Duba hua ye baal-o-par dekhenge log
kya isi din ke liye mangi thi phulon ki dua
shabnami-mausam mein bhi raqs-e-sharar dekhenge log
KHatm hum par hain shab-e-zindan ki sari saKHtiyan
zehn o dil aazad hoga wo sahar dekhenge log
anjuman ko faiz pahunchaegi sham-e-anjuman
kya hasin hoti hai umr muKHtasar dekhenge log
'ramz' main apni zaban se kuchh nahin batlaunga
kis taraf uThti hai ye meri nazar dekhenge log

Ghazal
Is sadi ka jab kabhi KHatm-e-safar dekhenge log
Ramz Azimabadi